Friday, September 06, 2013

Watan

Sarfaroshi ki tamanna
Toh hai baaki aaj bhi
Desh par mitne ki neeyat
Kuch hai baaki aaj bhi

Iss watan ke naam toh
Ab bhi yeh jaan qurbaan hai
Ram ho ya ho Ali
Hindustan toh sabki shaan hai

Iss tirangey ke rangon mein
Hai ranga Hindustan
Chahe mazhab koi bhi ho
Yeh hai sabhi ka aashiyaan

Gul hain iss gulistaan ke hum
Hum hi hain angaar bhi
Chahte toh karna dosti hain
Kar sakte hain par prahaar bhi

Chahe humko todne ki
Kar lo tum koshish hazaar
Ek jut ho kar khade hain
Mulk par hone nisaar

Hum na tootenge kabhi
Na bikhrenge hum haar kar
Aasmaan ko chhoo hi lenge
Mushkilon ko paar kar

Sarfaroshi ki tamanna
Toh hai baaki aaj bhi
Desh par mitne ki neeyat
Kuch hai baaki aaj bhi